Monday, February 4, 2008

dosto ke beech

Mujhe lagata hai...

ki kisee ek vad ya vichardhara se...
dunia ko chlanamumkin nahin …

Maine kai bar…

dosto ke beech yah mudda uathaya
ki hamare samaj ko mahila pradhan hona chahiye…

Javab kya mila …

Usse kya hoga…
samaj koi bhi ho…
jo takatvar hoga…
ya jiske hatha me takat hogi…
vah samaj ko, dunia ko aapne hi aandaz me chalayega…

Mahila ko ek mudde ke rup me le to…
Jis tahar dalit ek mudda hai…

To yahin kaha ja sakta hai ki…
kahin-naa-kahin mahilo
ki uapechha to hui hai aab tak…

Male ne dunia ke sare niyam-kanun banaye…

karan …

Takat-pawer usee ke pas tha…
Bhagvan – duniya banana vala bhi male hi hai...

Kaha samanta nazar aati hai..

Hamare desh me …
Bat –bat par ghar- pariwar ka hawala liya jata hai…

Bachcho ke nam par mahila ko blackmel kiya jata hai…
Mera kahna sirf itna hai ki…

Bachcha-ghar aur pariwar kya sirf female ki jimmedari hai…
Male ka koi bhi farz nahin…

Japan me male ghar ki jimmedari samal rahe hai…
Bakee duniya me badlav aa raha hai…

Likin bat …tab banti nazar nahin aati…
jab nariye me badlav dikhai nahin deta…

Hilari TAK ko chunavi douro ke samay tana diya gaya ki …

kapde dhone…
khana pakane ka kam karo…

Feminist par lagatar bahas jari hai…

Aabhee kisee desh ki news pad raha tha ki…
Vaha ki sarkar is bat par vichar kar rahi hai ki…
Bachcho ke lalan-palan ki aalag koi vyavastha ki jaye …

Matlab...
bachcho ki jimmedari agar male nahin lena chahte to…
Fir female kis karan se aapni zindgi ke samay ko bachcho par jaya kare…

Unki dekha bhal ka jimma kisee aur de diya jaye…

Sex… bhee ek bada mudda hai …
male ko is mamle me tamam tarah ki aazadi milee hui hai…
uska daman kabhi dagdar hota hi nahin…

Aur female par humesha pahara hota hai…

Papa ka,
pappu bhaiya
aur patidev ka…

Nahin to khud ka …
kahin koi kah naa de…
RAM TEREE GANGAA…

Female writers ki achchee kitabe padakar lagta hai
ki female ke liy…
sex aazadi Kis karan se jaruri hai…

Tamam tarah ki galiya female ko lekar hi bani hai…

Log aapne bachcho…(sirf male baby not female) …
ke mukha se galiya sunkar bahat khush hote hai …

Jab inka use female karti hai unko bura kaha jata hai…
kisliye…

Bat media me female ko lekar kare to…
hamesh un par uagli uathati…
Aakhir jab male hi unhe us raha par le jate hai …
To fir aarop lagane ka dusre male parson ko koi hak nahin banta …

Log to yah bhi kahna nahin chukte ki media ki sari mahilaye aayogaya hai…
Sirf aapne jism ki badoulat thiki hui hai…

Is tarah ki bat karne valo ke satha kya kiya jaye…

Ek do aapavado ko dekhakar yah kahna …
Samaj me nahin aata …

Aakhir kab badalega nazariya….

(Net kharab hone ke karan itna likha gaya.
Padkar aapna dimag kharabmat kar lena. Tc … ok)

No comments: